Falak Karne Ke Qabil Aasman Hai

falak karne ke qabil aasman hai

ki ye pirana-sar jahil jawan hai

gae un qafilon se bhi uThi gard

hamari KHak kya jaanen kahan hai

bahut na-mehrban rahta hai yani

hamare haal par kuchh mehrban hai

hamein jis jae kal ghash aa gaya tha

wahin shayad ki us ka aastan hai

mizha har ek hai us ki tez nawak

KHamida bhaun jo hai zorin kaman hai

use jab tak hai tir-andazi ka shauq

zabuni par meri KHatir nishan hai

chali jati hai dhaDkon hi mein jaan bhi

yahin se kahte hain jaan ko rawan hai

usi ka dam bhara karte rahenge

badan mein apne jab tak nim-jaan hai

paDa hai phul ghar mein kahe ko 'mir'

jhamak hai gul ki barq-e-ashiyan hai

(441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falak Karne Ke Qabil Aasman Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Falak Karne Ke Qabil Aasman Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Falak Karne Ke Qabil Aasman Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Falak Karne Ke Qabil Aasman Hai in PDF.