Gham Usko Sari Raat Sunaya To Kya Hua

gham us ko sari raat sunaya to kya hua

ya rose uTh ke sar ko phiraya to kya hua

un ne to mujh ko jhuTe bhi puchha na ek bar

main ne use hazar jataya to kya hua

KHwahan nahin wo kyun hi main apni taraf se yun

dil de ke us ke hath bikaya to kya hua

ab sai kar siphar ki mere mue gae

us ka mizaj mehr pe aaya to kya hua

mat ranja kar kisi ko ki apne to e'tiqad

dil Dhae kar jo kaba banaya to kya hua

main said-e-na-tawan bhi tujhe kya karunga yaad

zalim ek aur tir lagaya to kya hua

kya kya duaen mangi hain KHalwat mein shaiKH yun

zahir jahan se hath uThaya to kya hua

wo fikr kar ki chaak-e-jigar pawe iltiyam

naseh jo tu ne jama sulaya to kya hua

jite to 'mir' un ne mujhe dagh hi rakkha

phir gor par charagh jalaya to kya hua

(494) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Usko Sari Raat Sunaya To Kya Hua In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Gham Usko Sari Raat Sunaya To Kya Hua is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Gham Usko Sari Raat Sunaya To Kya Hua for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Gham Usko Sari Raat Sunaya To Kya Hua in PDF.