Guzra Bana-e-charKH Se Nala Pagah Ka

guzra bana-e-charKH se nala pagah ka

KHana-KHarab ho jiyo is dil ki chah ka

aankhon mein ji mera hai udhar dekhta nahin

marta hun mein to hae re sarfa nigah ka

sad KHanuman-KHarab hain har har qadam pe dafan

kushta hun yar main to tere ghar ki rah ka

yak qatra KHun ho ke palak se Tapak paDa

qissa ye kuchh hua dil ghufran-panah ka

talwar marna to tumhein khel hai wale

jata rahe na jaan kaso be-gunah ka

bad-nam-o-KHwar-o-zar-o-nazar-o-shikasta-haal

ahwal kuchh na pochhiye us ru-siyah ka

zalim zamin se lauTta daman uTha ke chal

hoga kamin mein hath kaso dad-KHwah ka

ai taj-e-shah na sar ko farw laun tere pas

hai mo'taqid faqir namad ki kulah ka

har laKHt-e-dil mein said ke paikan bhi gae

dekha main shoKH ThaTh teri said-e-gah ka

bimar tu na howe jiye jab talak ki 'mir'

sone na dega shor teri aah aah ka

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzra Bana-e-charKH Se Nala Pagah Ka In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Guzra Bana-e-charKH Se Nala Pagah Ka is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Guzra Bana-e-charKH Se Nala Pagah Ka for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Guzra Bana-e-charKH Se Nala Pagah Ka in PDF.