Hanste Ho Rote Dekh Kar Gham Se

hanste ho rote dekh kar gham se

chheD rakhi hai tum ne kya hum se

mund gai aankh hai andhera pak

raushni hai so yan mere dam se

tum jo dil-KHwah KHalq ho hum ko

dushmani hai tamam aalam se

darhami aa gai mizajon mein

aaKHir un gesuwan-e-dirham se

sab ne jaana kahin ye aashiq hai

bah gae ashk dida-e-nam se

muft yun hath se na kho hum ko

kahin paida bhi hote hain hum se

aksar aalat-e-jaur us se hue

aafaten aain us ke muqaddam se

dekh we palken barchhiyan chaliyan

tegh nikli us abru-e-KHam se

koi begana gar nahin maujud

munh chhupana ye kya hai phir hum se

wajh parde ki pochhiye bare

maliye us ke kaso jo mahram se

darpai KHun 'mir' hi na raho

ho bhi jata hai jurm aadam se

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hanste Ho Rote Dekh Kar Gham Se In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Hanste Ho Rote Dekh Kar Gham Se is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Hanste Ho Rote Dekh Kar Gham Se for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Hanste Ho Rote Dekh Kar Gham Se in PDF.