Har Zi-hayat Ka Hai Sabab Jo Hayat Ka
har zi-hayat ka hai sabab jo hayat ka
nikle hai ji hi us ke liye kaenat ka
bikhri hai zulf us ruKH-e-alam-faroz par
warna banao howe na din aur raat ka
dar-parda wo hi mani muqawwam na hon agar
surat na pakDe kaam falak ke sabaat ka
hain mustahil KHak se ajza-e-nau-KHatan
kya sahal hai zamin se nikalna nabaat ka
mustahlak us ke ishq ke jaanen hain qadar-e-marg
isa-o-KHizr ko hai maza kab wafat ka
ashjar howen KHama-o-ab-e-siyah-behaar
likhna na to bhi ho sake us ki sifat ka
us ke farogh-e-husn se jhumke hai sab mein nur
sham-e-haram ho ya ki diya somnat ka
bizzat hai jahan mein wo maujud har jagah
hai did chashm-e-dil ke khule ain zat ka
har safhe mein hai mahw-e-kalam apna das jagah
mushaf ko khol dekh Tak andaz baat ka
hum muznibon mein sirf karam se hai guftugu
mazkur zikr yan nahin saum-o-salat ka
kya 'mir' tujh ko nama-syahi ka fikr hai
KHatm-e-rusul sa shaKHs hai zamin najat ka
(622) Peoples Rate This