Hoti Hai Garche Kahne Se Yaro Parai Baat

hoti hai garche kahne se yaro parai baat

par hum se to thambe na kabhu munh par aai baat

jaane na tujh ko jo ye tasanno tu us se kar

tis par bhi to chhupi nahin rahti banai baat

lag kar tadrau rah gae diwar-e-bagh se

raftar ki jo teri saba ne chalai baat

kahte the us se miliye to kya kya na kahiye lek

wo aa gaya to samne us ke na aai baat

ab to hue hain hum bhi tere Dhab se aashna

wan tu ne kuchh kaha ki idhar hum ne pai baat

bulbul ke bolne mein sab andaz hain mere

poshida kab rahe hai kisu ki uDai baat

bhaDka tha raat dekh ke wo shoala-KHu mujhe

kuchh ru-siyah raqib ne shayad lagai baat

aalam siyah-KHana hai kis ka ki roz-o-shab

ye shor hai ki deti nahin kuchh sunai baat

ek din kaha tha ye ki KHamoshi mein hai waqar

so mujh se hi suKHan nahin main jo batai baat

ab mujh zaif-o-zar ko mat kuchh kaha karo

jati nahin hai mujh se kisu ki uThai baat

KHat likhte likhte 'mir' ne daftar kiye rawan

ifraat-e-ishtiyaq ne aaKHir baDhai baat

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hoti Hai Garche Kahne Se Yaro Parai Baat In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Hoti Hai Garche Kahne Se Yaro Parai Baat is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Hoti Hai Garche Kahne Se Yaro Parai Baat for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Hoti Hai Garche Kahne Se Yaro Parai Baat in PDF.