Humne Jaana Tha SuKHan Honge Zaban Par Kitne

hum ne jaana tha suKHan honge zaban par kitne

par qalam hath jo aai likhe daftar kitne

main ne is us sannaa se sar khincha hai

ki har ek kuche mein jis ke the hunar-war kitne

kishwar-e-ishq ko aabaad na dekha hum ne

har gali-kuche mein ujaD paDe the ghar kitne

aah nikli hai ye kis ki hawas sair-e-bahaar

aate hain bagh mein aawara hue par kitne

dekhiyo panja-e-mizhgan ki Tak aatish-dasti

har sahar KHak mein milte hain dar-e-tar kitne

kab talak ye dil sad-para nazar mein rakhiye

us par aankhen hi siye rahte hain dilbar kitne

umr guzri ki nahin do aadam se koi

jis taraf dekhiye arse mein hain ab KHar kitne

tu hai bechaara gada 'mir' tera kiya mazkur

mil gae KHak mein yan sahab afsar kitne

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Jaana Tha SuKHan Honge Zaban Par Kitne In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Humne Jaana Tha SuKHan Honge Zaban Par Kitne is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Humne Jaana Tha SuKHan Honge Zaban Par Kitne for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Humne Jaana Tha SuKHan Honge Zaban Par Kitne in PDF.