Ishq Mein Nai KHauf-o-KHatar Chahiye

ishq mein nai KHauf-o-KHatar chahiye

jaan ke dene ko jigar chahiye

qabil-e-aghosh sitam didgan

ashk sa pakiza guhar chahiye

haal ye pahuncha hai ki ab zoaf se

uThte palak ek pahar chahiye

kam hai shanasa-e-zar-e-dagh-e-dil

us ke parakhne ko nazar chahiye

sainkaDon marte hain sada phir bhi yan

waqia ek sham-o-sahar chahiye

ishq ke aasar hain ai bul-hawas

dagh ba-dil-e-dast basar chahiye

shart saliqa hai har ek amar mein

aib bhi karne ko hunar chahiye

jaise jaras para gulo kya karun

nala-o-afghan mein asar chahiye

KHauf qayamat ka yahi hai ki 'mir'

hum ko jiya bar-e-digar chahiye

(464) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Nai KHauf-o-KHatar Chahiye In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ishq Mein Nai KHauf-o-KHatar Chahiye is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ishq Mein Nai KHauf-o-KHatar Chahiye for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ishq Mein Nai KHauf-o-KHatar Chahiye in PDF.