Jab Se KHat Hai Siyah-Khaal Ki Thang

jab se KHat hai siyah-KHal ki thang

tab se luTti hai hind chaaron dang

baat amal ki chali hi jati hai

hai magar auj-bin-unuq ki Tang

ban jo kuchh ban sake jawani mein

raat to thoDi hai bahut hai sang

ishq ka shor koi chhupta hai

nala-e-andalib hai gul-bang

us zaqan mein bhi sabzi hai KHat ki

dekho jidhar kunen paDi hai bhang

kis tarah un se koi garm mile

sim-tan pighle jate hain jon rang

chali jati hai hasab qadr-e-buland

dur tak us pahaD ki hai Dang

tafra baatil tha tur par apne

warna jate ye dauD hum bhi phalang

main ne kya us ghazal ko sahal kiya

qafiye hi the us ke uT-paTang

'mir' bandon se kaam kab nikla

mangna hai jo kuchh KHuda se mang

(440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se KHat Hai Siyah-Khaal Ki Thang In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Jab Se KHat Hai Siyah-Khaal Ki Thang is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Jab Se KHat Hai Siyah-Khaal Ki Thang for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Jab Se KHat Hai Siyah-Khaal Ki Thang in PDF.