Jis Jagah Daur-e-jam Hota Hai

jis jagah daur-e-jam hota hai

wan ye aajiz mudam hota hai

hum to ek harf ke nahin mamnun

kaisa KHatt-o-payam hota hai

tegh nakaamon pe na har dam khinch

ek karishme mein kaam hota hai

puchh mat aah aashiqon ki maash

roz un ka bhi sham hota hai

zaKHm bin gham bin aur ghussa bin

apna khana haram hota hai

shaiKH ki si hi shakl hai shaitan

jis pe shab ahtelam hota hai

qatl ko main kaha to uTh bola

aaj kal subh-o-sham hota hai

aaKHir aaunga nash par ab aah

ki ye aashiq tamam hota hai

'mir' sahab bhi us ke han the par

jaise koi ghulam hota hai

(440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Jagah Daur-e-jam Hota Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Jis Jagah Daur-e-jam Hota Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Jis Jagah Daur-e-jam Hota Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Jis Jagah Daur-e-jam Hota Hai in PDF.