Jo Dekho Mere Sher-e-tar Ki Taraf

jo dekho mere sher-e-tar ki taraf

to mail na ho phir guhar ki taraf

koi dad-e-dil aah kis se kare

har ek hai so us fitna-gar ki taraf

mohabbat ne shayad ki di dil ko aag

dhuan sa hai kuchh is nagar ki taraf

lagin hain hazaron hi aankhen udhar

ek aashob hai us ke ghar ki taraf

bahut rang milta hai dekho kabhu

hamari taraf se sahar ki taraf

ba-KHud kis ko us tab-e-ruKH ne rakha

kare kaun shams-o-qamar ki taraf

na samjha gaya abr kya dekh kar

hua tha meri chashm-e-tar ki taraf

Tapakta hai palkon se KHun muttasil

nahin dekhte hum jigar ki taraf

munasib nahin haal-e-ashiq se sabr

rakhe hai ye daru zarar ki taraf

kise manzil-e-dilkash-e-dahr mein

nahin mil KHatir safar ki taraf

rag-e-jaan kab aati hai aankhon mein 'mir'

gae hain mizaj us kamar ki taraf

(471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Dekho Mere Sher-e-tar Ki Taraf In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Jo Dekho Mere Sher-e-tar Ki Taraf is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Jo Dekho Mere Sher-e-tar Ki Taraf for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Jo Dekho Mere Sher-e-tar Ki Taraf in PDF.