Jo Main Na Hun To Karo Tark Naz Karne Ko
jo main na hun to karo tark naz karne ko
koi to chahiye ji bhi niyaz karne ko
na dekho ghuncha-e-nargis ki or khulte mein
jo dekho us ki mizha nim-baz karne ko
na soe nind bhar is tangna mein ta na mue
ki aah ja na thi pa ke daraaz karne ko
jo be-dimaghi yahi hai to ban chuki apni
dimagh chahiye har ek se saz karne ko
wo garm naz ho to KHalq par tarahhum kar
pukare aap ajal ehtiraaz karne ko
jo aansu aawen to pi ja ki ta rahe parda
bala hai chashm-e-tar ifsha-e-raaz karne ko
samand naz se tere bahut hai arsa tang
tanik to tark kar is tark taz karne ko
basan-e-zar hai mera jism-e-zar sara zard
asar tamam hai dil ke gudaz karne ko
hanuz laDke ho tum qadar meri kya jaano
shuur chahiye hai imtiyaz karne ko
agarche gul bhi numud us ke rang karta hai
wa-lek chahiye hai munh bhi naz karne ko
zyaada had se thi tabut-e-'mir' par kasrat
hua na waqt musaid namaz karne ko
(400) Peoples Rate This