Kal Bare Humse Is Se Mulaqat Ho Gai

kal bare hum se is se mulaqat ho gai

do do bachan ke hone mein ek baat ho gai

kin kin musibaton se hui subh sham-e-hijr

so zulfen hi banate use raat ho gai

gardish nigah-e-mast ki mauquf saqiya

masjid to shaiKH ji ki KHarabaat ho gai

Dar zulm se ki us ki jaza bas shitab hai

aaya amal mein yan ki mukafat ho gai

KHurshid sa pyala-e-mai be-talab diya

pir-e-mughan se raat karamat ho gai

kitna KHilaf wada hua hoga wo ki yan

nau-midi-o-ummid musawat ho gai

aa shaiKH guftagu-e-pareshan pe to na ja

masti mein ab to qibla-e-hajat ho gai

Tak shahr se nikal ke mera girya sair kar

goya ki koh-o-dasht pe barsat ho gai

didar ki gursangi apni yahin se dekh

ek hi nigah yaron ki auqat ho gai

apne to honT bhi na hile us ke ru-ba-ru

ranjish ki wajh 'mir' wo kya baat ho gai

(412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Bare Humse Is Se Mulaqat Ho Gai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kal Bare Humse Is Se Mulaqat Ho Gai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kal Bare Humse Is Se Mulaqat Ho Gai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kal Bare Humse Is Se Mulaqat Ho Gai in PDF.