KHatir Kare Hai Jama Wo Har Bar Ek Tarah

KHatir kare hai jama wo har bar ek tarah

karta hai charKH mujh se nae yar ek tarah

main aur qais o kohkan ab jo zaban pe hain

mare gae hain sab ye gunahgar ek tarah

manzur us ko parde mein hain be-hijabiyan

kis se hua do-chaar wo ayyar ek tarah

sab tarhen us ki apni nazar mein thin kya kahen

par hum bhi ho gae hain giraftar ek tarah

ghar us ke ja ke aate hain pamal ho ke hum

kariye makan hi ab sar-e-bazar ek tarah

gah gul hai gah rang gahe bagh ki hai bu

aata nahin nazar wo tarah-dar ek tarah

nairang husn-e-dost se kar aankhen aashna

mumkin nahin wagarna ho didar ek tarah

sau tarah tarah dekh tabibon ne ye kaha

sehat pazir hue ye bimar ek tarah

so bhi hazar tarah se Thaharawte hain hum

taskin ke liye teri na-chaar ek tarah

bin ji diye ho koi tarah faeda nahin

gar hai to ye hai ai jigar afgar ek tarah

har tarah tu zalil hi rakhta hai 'mir' ko

hota hai aashiqi mein koi KHwar ek tarah

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHatir Kare Hai Jama Wo Har Bar Ek Tarah In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. KHatir Kare Hai Jama Wo Har Bar Ek Tarah is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem KHatir Kare Hai Jama Wo Har Bar Ek Tarah for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download KHatir Kare Hai Jama Wo Har Bar Ek Tarah in PDF.