Kya Bulbul Asir Hai Be-baal-o-par Ki Hum

kya bulbul asir hai be-baal-o-par ki hum

gul kab rakhe hai TukDe jigar is qadar ki hum

KHurshid subh nikle hai is nur se ki to

shabnam girah mein rakhti hai ye chashm-e-tar ki hum

jite hain to dikha denge dawa-e-andalib

gul bin KHizan mein ab ke wo rahti hai mar ki hum

ye tegh hai ye tasht hai ye hum hain kushtani

khele hai kaun aisi tarah jaan par ki hum

talwaren tum lagate ho hum hainge dam-ba-KHud

duniya mein ye kare hai koi darguzar ki hum

is justuju mein aur KHarabi to kya kahen

itni nahin hui hai saba dar-ba-dar ki hum

jab ja phansa kahin to hamein yan hui KHabar

rakhta hai kaun dil teri itni KHabar ki hum

jite hain aur rote hain laKHt-e-jigar hai 'mir'

karte suna hai yun koi qima jigar ki hum

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Bulbul Asir Hai Be-baal-o-par Ki Hum In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kya Bulbul Asir Hai Be-baal-o-par Ki Hum is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kya Bulbul Asir Hai Be-baal-o-par Ki Hum for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kya Bulbul Asir Hai Be-baal-o-par Ki Hum in PDF.