Kya Kahen Aatish-e-hijran Se Gale Jate Hain

kya kahen aatish-e-hijran se gale jate hain

chhatiyan sulgen hain aisi ki jale jate hain

gauhar-e-gosh kisu ka nahin ji se jata

aansu moti se mere munh pe Dhale jate hain

yahi masdud hai kuchh rah-e-wafa warna baham

sab kahin nama o paigham chale jate hain

bar-e-hirman-o-gul-o-dagh nahin apne sath

shajar-e-bagh-e-wafa phule phale jate hain

hairat-e-ishq mein taswir se rafta hi rahe

aise jate hain jo hum bhi to bhale jate hain

hijr ki koft jo khinche hain unhin se puchho

dil diye jate hain ji apne male jate hain

yaad-e-qad mein tere aankhon se bahen hain juen

gar kisu bagh mein hum sarw tale jate hain

dekhen pesh aawe hai kya ishq mein ab to jun sail

hum bhi is rah mein sar gaDe chale jate hain

pur-ghubari-e-jahan se nahin sudh 'mir' hamein

gard itni hai ki miTTi mein rule jate hain

(449) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahen Aatish-e-hijran Se Gale Jate Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kya Kahen Aatish-e-hijran Se Gale Jate Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kya Kahen Aatish-e-hijran Se Gale Jate Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kya Kahen Aatish-e-hijran Se Gale Jate Hain in PDF.