Kya Kahiye Ki KHuban Ne Ab Hum Mein Hai Kya Rakha

kya kahiye ki KHuban ne ab hum mein hai kya rakha

in chashm-siyahon ne bahuton ko sula rakha

jalwa hai usi ka sab gulshan mein zamane ke

gul phul ko hai un ne parda sa bana rakha

jun barg KHizan-dida sab zard hue hum to

garmi ne hamein dil ki aaKHir ko jala rakha

kahiye jo tamiz us ko kuchh achchhe bure ki ho

dil jis kaso ka paya chaT un ne uDa rakha

thi maslak-e-ulfat ki mashhur KHatarnaki

main dida-o-danista kis rah mein pa rakha

KHurshid-o-qamar pyare rahte hain chhupe koi

ruKHsaron ko go tu ne burqa se chhupa rakha

chashmak hi nahin tazi shewe ye usi ke hain

jhamki si dikha de kar aalam ko laga rakha

lagne ke liye dil ke chhiDka tha namak main ne

sau chhati ke zaKHmon ne kal der maza rakha

kushte ko is abru ke kya mel ho hasti ki

main taq buland upar jine ko uTha rakha

qatai hai dalil ai 'mir' us tegh ki be-abi

rahm un ne mere haq mein mutlaq na rawa rakha

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahiye Ki KHuban Ne Ab Hum Mein Hai Kya Rakha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kya Kahiye Ki KHuban Ne Ab Hum Mein Hai Kya Rakha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kya Kahiye Ki KHuban Ne Ab Hum Mein Hai Kya Rakha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kya Kahiye Ki KHuban Ne Ab Hum Mein Hai Kya Rakha in PDF.