Kya Mere Aane Pe Tu Ai But-e-maghrur Gaya

kya mere aane pe tu ai but-e-maghrur gaya

kabhi us rah se nikla to tujhe ghur gaya

le gaya subh ke nazdik mujhe KHwab ai wae

aankh us waqt khuli qafila jab dur gaya

gor se nale nahin uThte to nai ugti hai

ji gaya par na hamara sar pur-shor gaya

chashm-e-KHun-basta se kal raat lahu phir Tapka

hum ne jaana tha ki bas ab to ye nasur gaya

na-tawan hum hain ki hain KHak gali ki us ki

ab to be-taqati se dil ka bhi maqdur gaya

le kahin munh pe naqab apne ki ai ghairat-e-subh

shama ke chehra-e-raKHshan se to ab nur gaya

nala-e-'mir' nahin raat se sunte hum log

kya tere kuche se ai shoKH wo ranjur gaya

(443) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Mere Aane Pe Tu Ai But-e-maghrur Gaya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kya Mere Aane Pe Tu Ai But-e-maghrur Gaya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kya Mere Aane Pe Tu Ai But-e-maghrur Gaya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kya Mere Aane Pe Tu Ai But-e-maghrur Gaya in PDF.