Lazzat Se Nahin Khaali Jaanon Ka Khapa Jaana

lazzat se nahin KHali jaanon ka khapa jaana

kab KHizr o masiha ne marne ka maza jaana

hum jah-o-hasham yan ka kya kahiye ki kya jaana

KHatim ko sulaiman ki angushtar-e-pa jaana

ye bhi hai ada koi KHurshid namat pyare

munh subh dikha jaana phir sham chhupa jaana

kab bandagi meri si banda karega koi

jaane hai KHuda us ko main tujh ko KHuda jaana

tha naz bahut hum ko danist par apni bhi

aaKHir wo bura nikla hum jis ko bhala jaana

gardan-kashi kya hasil manind bagule ki

is dasht mein sar gaDe jun sail chala jaana

is girya-e-KHunin ka ho zabt to behtar hai

achchha nahin chehre par lohu ka baha jaana

ye naqsh dilon par se jaane ka nahin us ko

aashiq ke huquq aa kar nahaq bhi miTa jaana

Dhab dekhne ka idhar aisa hi tumhaara tha

jate to ho par hum se Tuk aankh mila jaana

us shama ki majlis mein jaana hamein phir wan se

ek zaKHm-e-zaban taza har roz uTha jaana

ai shor-e-qayamat hum sote hi na rah jawen

is rah se nikle to hum ko bhi jaga jaana

kya pani ke mol aa kar malik ne guhar becha

hai saKHt giran sasta yusuf ka bika jaana

hai meri teri nisbat ruh aur jasad ki si

kab aap se main tujh ko ai jaan juda jaana

jati hai guzar ji par us waqt qayamat si

yaad aawe hai jab tera yak-bargi aa jaana

barson se mere us ki rahti hai yahi sohbat

tegh us ko uThana to sar mujh ko jhuka jaana

kab 'mir' basar aae tum waise farebi se

dil ko to laga baiThe lekin na laga jaana

(430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lazzat Se Nahin Khaali Jaanon Ka Khapa Jaana In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Lazzat Se Nahin Khaali Jaanon Ka Khapa Jaana is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Lazzat Se Nahin Khaali Jaanon Ka Khapa Jaana for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Lazzat Se Nahin Khaali Jaanon Ka Khapa Jaana in PDF.