Nale Ka Aaj Dil Se Phir Lab Talak Guzar Hai

nale ka aaj dil se phir lab talak guzar hai

Tak gosh rakhiyo idhar sath us ke kuchh KHabar hai

ai hubb-e-jah walo jo aaj tajwar hai

kal us ko dekhiyo tum ne taj hai na sar hai

ab ki hawa-e-gul mein sairabi hai nihayat

ju-e-chaman pe sabza mizhgan-e-chashm-e-tar hai

ai ham-safir-e-be-gul kis ko dimagh-e-nala

muddat hui hamari minqar-e-zer par hai

sham-e-aKHir-e-shab hun san sar-guzasht meri

phir subh hote tak to qissa hi muKHtasar hai

ab rahm par usi ke mauquf hai ki yan to

nai ashk mein sarayat nai aah mein asar hai

tu hi zamam apni nake tuDa ki majnun

muddat se naqsh-e-pa ke manind rah par hai

hum mast-e-ishq waiz be-hech bhi nahin hain

ghafil jo be-KHabar hain kuchh un ko bhi KHabar hai

ab phir hamara is ka mahshar mein majra hai

dekhen to us jagah kya insaf dad-gar hai

aafat-rasida hum kya sar khinchen us chaman mein

jon naKHl-e-KHushk hum ko nai saya nai samar hai

kar 'mir' us zamin mein aur ek ghazal to mauzun

hai harf-zan qalam bhi ab taba bhi idhar hai

(419) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nale Ka Aaj Dil Se Phir Lab Talak Guzar Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Nale Ka Aaj Dil Se Phir Lab Talak Guzar Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Nale Ka Aaj Dil Se Phir Lab Talak Guzar Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Nale Ka Aaj Dil Se Phir Lab Talak Guzar Hai in PDF.