Naz-e-chaman Wahi Hai Bulbul Se Go KHizan Hai

naz-e-chaman wahi hai bulbul se go KHizan hai

Tahni jo zard bhi hai so shaKH-e-zafaran hai

gar is chaman mein wo bhi ek hi lab-o-dahan hai

lekin suKHan ka tujh se ghunche ko munh kahan hai

hangam-e-jalwa us ke mushkil hai Thahre rahna

chitwan hai dil ki aafat-e-chashmak bala-e-jaan hai

patthar se toDne ke qabil hai aarsi tu

par kya karen ki pyare munh tera darmiyan hai

bagh-o-bahaar hai wo main kisht-e-zafran hun

jo lutf ek idhar hai to yan bhi ek saman hai

har-chand zabt kariye chhupta hai ishq koi

guzre hai dil pe jo kuchh chehre hi se ayan hai

is fan mein koi be-tah kya ho mera muariz

awwal to main sanad hun phir ye meri zaban hai

aalam mein aab-o-gil ka Thahraw kis tarah ho

gar KHak hai aDe hai war aab hai rawan hai

charcha rahega us ka ta-hashr mai-kashan mein

KHun-rezi ki hamari rangin dastan hai

az-KHwesh rafta us bin rahta hai 'mir' aksar

rahte ho baat kis se wo aap mein kahan hai

(434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naz-e-chaman Wahi Hai Bulbul Se Go KHizan Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Naz-e-chaman Wahi Hai Bulbul Se Go KHizan Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Naz-e-chaman Wahi Hai Bulbul Se Go KHizan Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Naz-e-chaman Wahi Hai Bulbul Se Go KHizan Hai in PDF.