Qabu KHizan Se Zoaf Ka Gulshan Main Ban Gaya

qabu KHizan se zoaf ka gulshan main ban gaya

dosh-e-hawa pe rang-e-gul-o-yasaman gaya

bargashta-baKHt dekh ki qasid safar se main

bheja tha us ke pas so mere watan gaya

KHatir-nishan ai said-fagan hogi kab teri

tiron ke mare mera kaleja to chhan gaya

yaadash-ba-KHair dasht mein manind-e-ankabut

daman ke apne tar jo KHaron pe tan gaya

mara tha kis libas mein uryani ne mujhe

jis se tah-e-zamin bhi main be-kafan gaya

aai agar bahaar to ab hum ko kya saba

hum se to aashiyan bhi gaya aur chaman gaya

sarsabz mulk-e-hind mein aisa hua ki 'mir'

ye reKHta likha hua tera dakan gaya

(403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qabu KHizan Se Zoaf Ka Gulshan Main Ban Gaya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Qabu KHizan Se Zoaf Ka Gulshan Main Ban Gaya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Qabu KHizan Se Zoaf Ka Gulshan Main Ban Gaya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Qabu KHizan Se Zoaf Ka Gulshan Main Ban Gaya in PDF.