Raat Guzre Hai Mujhe Naza Mein Rote Rote

raat guzre hai mujhe naza mein rote rote

aankhen phir jaengi ab subh ke hote hote

khol kar aankh uDa did jahan ka ghafil

KHwab ho jaega phir jagna sote sote

dagh ugte rahe dil mein meri naumidi se

haara main tuKHm-e-tamanna ko bhi bote bote

ji chala tha ki tere honTh mujhe yaad aae

lal paen hain main is ji hi ke khote khote

jam gaya KHun kaf-e-qatil pe tera 'mir' zi-bas

un ne ro ro diya kal hath ko dhote dhote

(377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Guzre Hai Mujhe Naza Mein Rote Rote In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Raat Guzre Hai Mujhe Naza Mein Rote Rote is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Raat Guzre Hai Mujhe Naza Mein Rote Rote for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Raat Guzre Hai Mujhe Naza Mein Rote Rote in PDF.