Ramaq Ek Jaan-e-wabaal Hai Koi Dam Jo Hai To Azab Hai

ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai

dil-e-dagh gashta kabab hai jigar gudaKHta aab hai

meri KHalq mahw-e-kalam sab mujhe chhoDte hain KHamosh kab

mera harf rashk-e-kitab hai mari baat likhne ka bab hai

jo wo likhta kuchh bhi to nama-bar koi rahti munh mein tere nihan

teri KHamushi se ye nikle hai ki jawab KHat ka jawab hai

rahe haal dil ka jo ek sa to rujua karte kahin bhala

so tu ye kabhu hama dagh hai kabhu nim-soz kabab hai

kahenge kaho tumhein log kya yahi aarsi yahi tum sada

na kaso ki tum ko hai Tak haya na hamare munh se hijab hai

chalo mai-kade mein basar karen ki rahi hai kuchh barakat wahin

lab-e-na-towan ka kabab hai dam-e-abwan ka sharab hai

nahin khultin aankhen tumhaari Tak ki maal par bhi nazar karo

ye jo wahm ki si numud hai use KHub dekho to KHwab hai

gae waqt aate hain hath kab hue hain ganwa ke KHarab sab

tujhe karna howe so kar tu ab ki ye umr barq-e-shattab hai

kabhu lutf se na suKHan kya kabhu baat kah na laga liya

yahi lahza lahza KHitab hai wahi lamha lamha itab hai

tu jahan ke bahr-e-amiq mein sar par hua na buland kar

ki ye panj-roza jo bud hai kaso mauj-e-pur ka habab hai

rakho aarzu mai-e-KHam ki karo guftugu KHat-e-jam ki

ki siyah caron se hashr mein na hisab hai na kitab hai

mera shor san ke jo logon ne kya puchhna tu kahe hai kya

jise 'mir' kahte hain sahibo ye wahi to KHana-KHarab hai

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ramaq Ek Jaan-e-wabaal Hai Koi Dam Jo Hai To Azab Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ramaq Ek Jaan-e-wabaal Hai Koi Dam Jo Hai To Azab Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ramaq Ek Jaan-e-wabaal Hai Koi Dam Jo Hai To Azab Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ramaq Ek Jaan-e-wabaal Hai Koi Dam Jo Hai To Azab Hai in PDF.