Sozish Dil Se Muft Galte Hain

sozish dil se muft galte hain

dagh jaise charagh julte hain

is tarah dil gaya ki ab tak hum

baiThe rote hain hath milte hain

bhari aati hain aaj yun aankhen

jaise dariya kahin ubalte hain

dam-e-aKHir hai baiTh ja mat ja

sabr kar Tak ki hum bhi chalte hain

tere be-KHud jo hain so kiya chiten

aise Dube kahin uchhalte hain

fitna dar-sar-e-hashr-e-KHiram

hae re kis Thasak se chalte hain

nazar uThti nahin ki jab KHuban

sote se uTh ke aankh milte hain

is sar-e-zulf ka KHayal na chhoD

sanp ke sar hi yan kuchalte hain

the jo aghyar sang sine ke

ab to kuchh hum ko dekh Talte hain

shama-ru mom ke bane hain magar

garm Tak maliye to pighalte hain

'mir'-sahib ko dekhiye jo bane

ab bahut ghar se kam nikalte hain

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sozish Dil Se Muft Galte Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Sozish Dil Se Muft Galte Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Sozish Dil Se Muft Galte Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Sozish Dil Se Muft Galte Hain in PDF.