Suna Hai Haal Tere Kushtagan Bechaaron Ka

suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka

hua na gor gaDha un sitam ke maron ka

hazar rang khile gul chaman ke hain shahid

ki rozgar ke sar KHun hai hazaron ka

mila hai KHak mein kis kis tarah ka aalam yan

nikal ke shahr se Tak sair kar mazaron ka

araq-fishani se us zulf ki hirasan hun

bhala nahin hai bahut TuTna bhi taron ka

ilaj karte hain sauda-e-ishq ka mere

KHalal-pazir hua hai dimagh yaron ka

teri hi zulf ko mahshar mein hum dikha denge

jo koi mangega nama siyahkaron ka

KHarash-e-sina-e-ashiq bhi dil ko lag jae

ajab tarah ka hai firqa ye dil-figaron ka

nigah-e-mast ke mare teri KHarab hain shoKH

na Thor hai na Thikana hai hoshyaron ka

karen hain dawa KHush-chashmi-e-ahuwan-e-dast

Tak ek dekhne chal malak un ganwaron ka

taDap ke marne se dil ke ki maghfirat ho use

jahan mein kuchh to raha nam be-qararon ka

taDap ke KHirman-e-gul par kabhi gir ai bijli

jalana kiya hai mere aashiyan ke KHaron ka

tumhein to zohd-o-wara par bahut hai apne ghurur

KHuda hai shaiKH-ji hum bhi gunahgaron ka

uThe hai gard ki ja nala gor se is ki

ghubar-e-'mir' bhi aashiq hai ne sawaron ka

(475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suna Hai Haal Tere Kushtagan Bechaaron Ka In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Suna Hai Haal Tere Kushtagan Bechaaron Ka is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Suna Hai Haal Tere Kushtagan Bechaaron Ka for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Suna Hai Haal Tere Kushtagan Bechaaron Ka in PDF.