Teri Abru-o-tegh Tez To Ham-dam Hain Ye Donon

teri abru-o-tegh tez to ham-dam hain ye donon

hue hain dil jigar bhi samne rustam hain ye donon

na kuchh kaghaz mein hai tane qalam ko dard nalon ka

likhun kya ishq ke haalat na-mahram hain ye donon

lahu aankhon se bahte waqt rakh leta hun hathon ko

jarahat hain agar we donon to marham hain ye donon

kaso chashme pe dariya ke diya upar nazar rakhiye

hamare dida-e-nam-dida kya kuchh kam hain ye donon

lab jaan-baKHsh us ke mar hi rakhte hain aashiq ko

agarche aab-e-haiwan hain wa lekin sam hain ye donon

nahin abru hi mail jhuk rahi hai tegh bhi idhar

hamare kisht-o-KHun mein muttafiq baham hain ye donon

khule sine ke daghon par Thahar rahte hain kuchh aansu

chaman mein mahr-warzi ke gul-o-shabnam hain ye donon

kabhu dil rukne lagta hai jigar gahe taDapta hai

gham-e-hijran mein chhati ke hamari jam hain ye donon

KHuda jaane ki duniya mein milen us se ki uqba mein

makan to 'mir'-sahib shohra-e-alam hain ye donon

(480) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Abru-o-tegh Tez To Ham-dam Hain Ye Donon In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Teri Abru-o-tegh Tez To Ham-dam Hain Ye Donon is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Teri Abru-o-tegh Tez To Ham-dam Hain Ye Donon for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Teri Abru-o-tegh Tez To Ham-dam Hain Ye Donon in PDF.