Wan Wo To Ghar Se Apne Pi Kar Sharab Nikla

wan wo to ghar se apne pi kar sharab nikla

yan sharm se araq mein Dub aaftab nikla

aaya jo waqiye mein darpesh aalam-e-marg

ye jagna hamara dekha to KHwab nikla

dekha jo os paDte gulshan mein hum to aaKHir

gul ka wo ru-e-KHandan chashm-e-pur-ab nikla

parde hi mein chala ja KHurshid to hai behtar

ek hashr hai jo ghar se wo be-hijab nikla

kuchh der hi lagi na dil ko to tir lagte

us said-e-na-tawan ka kya ji shitab nikla

har harf-e-gham ne mere majlis ke tain rulaya

goya ghubar dil ka paDhta kitab nikla

ru-e-araq-fishan ko bas ponchh garm mat ho

us gul mein kya rahega jis ka gulab nikla

mutlaq na e'tina ki ahwal par hamare

name ka name hi mein sab pech-o-tab nikla

shan-e-taghaful apne nau-KHat ki kya likhen hum

qasid mua tab us ke munh se jawab nikla

kis ki nigah ki gardish thi 'mir' ru-ba-masjid

mehrab mein se zahid mast-o-KHarab nikla

(582) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wan Wo To Ghar Se Apne Pi Kar Sharab Nikla In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Wan Wo To Ghar Se Apne Pi Kar Sharab Nikla is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Wan Wo To Ghar Se Apne Pi Kar Sharab Nikla for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Wan Wo To Ghar Se Apne Pi Kar Sharab Nikla in PDF.