Yaksu Kushada-rawi Par Chin Nahin Jabin Bhi

yaksu kushada-rawi par chin nahin jabin bhi

hum chhoDi mahr us ki kash us ko howe kin bhi

aansu to tere daman ponchhe hai waqt girya

hum ne na rakhi munh par ai abr-e-astin bhi

karta nahin abas to para gulo-fughan se

guzre hai par dil ke ek nala-e-hazin bhi

hun ehtizar mein main aaina-ru shitab aa

jata hai warna ghafil phir dam to wapsin bhi

sine se tir us ka ji ko to leta nikla

par sathon sath us ke nikli ek aafrin bhi

har shab teri gali mein aalam ki jaan ja hai

aage hawa hai ab tak aisa sitam kahin bhi

shoKHi-e-jalwa us ki taskin kyunke baKHshe

aainon mein dilon ke jo hai bhi phir nahin bhi

gesu hi kuchh nahin hai sumbul ki aafat us ka

hain barq KHirman-e-gul ruKHsar-e-atishin bhi

taklif-e-nala mat kar ai dard dil ki honge

ranjida rah chalte aazurda ham-nashin bhi

kis kis ka dagh dekhen yarab gham-e-butan mein

ruKHsat talab hai jaan bhi iman aur din bhi

zer-e-falak jahan Tak aasuda 'mir' hote

aisa nazar na aaya ek qata-e-zamin bhi

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaksu Kushada-rawi Par Chin Nahin Jabin Bhi In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Yaksu Kushada-rawi Par Chin Nahin Jabin Bhi is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Yaksu Kushada-rawi Par Chin Nahin Jabin Bhi for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Yaksu Kushada-rawi Par Chin Nahin Jabin Bhi in PDF.