Yarab Koi Ho Ishq Ka Bimar Na Howe

yarab koi ho ishq ka bimar na howe

mar jae wale us ko ye aazar na howe

zindan mein phanse tauq paDe qaid mein mar jae

par dam-e-mohabbat mein giraftar na howe

us waste kanpun hun ki hai aah nipaT sard

ye baw kaleje ke kahin par na howe

sad nala-e-jaan-kah hain wabasta chaman se

koi baal shikasta pas-e-diwar na howe

pazhmurda bahut hai gul-e-gulzar hamara

sharminda-e-yak-gosha-e-dastar na howe

mange hai dua KHalq tujhe dekh ke zalim

yarab kaso ko us se sarokar na howe

kis shakl se ahwal kahun ab main ilahi

surat se meri jis mein wo bezar na howe

hun dost jo kahta hun sin ai jaan ke dushman

behtar to tujhe tark hai ta-KHwar na howe

KHuban bure hote hain agarche hain nakoro

be-jurm kahin un ka gunahgar na howe

bandhe na phire KHun par apni to kamar ko

ye jaan-e-subuk tan pe tere bar na howe

chalta hai rah-e-ishq hi us par bhi chale tu

par ek qadam chal kahin zinhaar na howe

sahra-e-mohabbat hai qadam dekh ke rakh 'mir'

ye sair sar-e-kucha-o-bazar na howe

(593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yarab Koi Ho Ishq Ka Bimar Na Howe In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Yarab Koi Ho Ishq Ka Bimar Na Howe is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Yarab Koi Ho Ishq Ka Bimar Na Howe for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Yarab Koi Ho Ishq Ka Bimar Na Howe in PDF.