Ye Mir-e-sitam-kushta Kisu Waqt Jawan Tha

ye 'mir'-e-sitam-kushta kisu waqt jawan tha

andaz-e-suKHan ka sabab shor o fughan tha

jadu ki puDi parcha-e-abyat tha us ka

munh takiye ghazal paDhte ajab sehr-bayan tha

jis rah se wo dil-zada dilli mein nikalta

sath us ke qayamat ka sa hangama rawan tha

afsurda na tha aisa ki jun aab-zada KHak

aandhi thi bala tha koi aashob-e-jahan tha

kis martaba thi hasrat-e-didar mere sath

jo phul meri KHak se nikla nigran tha

majnun ko abas dawa-e-wahsaht hai mujhi se

jis din ki junun mujh ko hua tha wo kahan tha

ghafil the hum ahwal-e-dil-e-KHasta se apne

wo ganj usi kunj-e-KHarabi mein nihan tha

kis zor se farhad ne KHara-shikani ki

har-chand ki wo bekas o be-tab-o-tawan tha

go 'mir' jahan mein kinhon ne tujh ko na jaana

maujud na tha tu to kahan nam-o-nishan tha

(544) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mir-e-sitam-kushta Kisu Waqt Jawan Tha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ye Mir-e-sitam-kushta Kisu Waqt Jawan Tha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ye Mir-e-sitam-kushta Kisu Waqt Jawan Tha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ye Mir-e-sitam-kushta Kisu Waqt Jawan Tha in PDF.