Dekhna Jin Suraton Ka Shakl Thi Aaram Ki

dekhna jin suraton ka shakl thi aaram ki

un se hain masdud rahen nama-o-paigham ki

ruKHsat ai ahl-e-watan ab hum hain aur aawargi

haq rakhe buniyaad qaem gardish-e-ayyam ki

yaad ne un tang kuchon ki faza sahra ki dekh

har qadam par jaan mari hai dil-e-nakaam ki

gardish-e-chashm-e-butan ki bas-ki saghar-nosh hai

gardish-e-gardun ko hum kahte the gardish jam ki

jab se khincha 'lutf' ranj-e-furqat-e-yar-o-dayar

ab hui malum mehnat gardish-e-ayyam ki

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhna Jin Suraton Ka Shakl Thi Aaram Ki In English By Famous Poet Mirza Ali Lutf. Dekhna Jin Suraton Ka Shakl Thi Aaram Ki is written by Mirza Ali Lutf. Read famous Poem Dekhna Jin Suraton Ka Shakl Thi Aaram Ki for youth and Student by Mirza Ali Lutf. Free Download Dekhna Jin Suraton Ka Shakl Thi Aaram Ki in PDF.