Kis Ko Bahlate Ho Shishe Ka Gulu TuT Gaya

kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya

KHum mere munh se laga de jo subu TuT gaya

kijo us zulf ko mashshat samajh kar shana

lakh dil TuTe agar ek wo mu TuT gaya

kuchh KHabar hai tujhe kahte hain tere zaKHmi ka

aaj phir chaak ka sine ke rafu TuT gaya

falak us dil-shikani ka to maza dekhega

koi dil gar kabhi ai arbada-ju TuT gaya

thi muridon ke liye qalb ke sadme ki dalil

shaiKH ka raqs mein sam par jo wuzu TuT gaya

dhyan us shishe ka rakhna ki na hoga paiwand

dil meri jaan agar yak sar-e-mu TuT gaya

us KHud-ara ke raha hath mein nit aaina

gham se aaina-dil hae na tu TuT gaya

mohtasib ne to KHarabaat mein ki KHun-rezi

par sar-e-rind pe shab mai ka kadu TuT gaya

dekhna tar-e-mohabbat ki hai mushkil phir sanTh

rishta-e-dosti ai 'lutf' kabhu TuT gaya

(410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ko Bahlate Ho Shishe Ka Gulu TuT Gaya In English By Famous Poet Mirza Ali Lutf. Kis Ko Bahlate Ho Shishe Ka Gulu TuT Gaya is written by Mirza Ali Lutf. Read famous Poem Kis Ko Bahlate Ho Shishe Ka Gulu TuT Gaya for youth and Student by Mirza Ali Lutf. Free Download Kis Ko Bahlate Ho Shishe Ka Gulu TuT Gaya in PDF.