Shama Nazan Hai Faqat Sar Se BhaDak Jaane Mein Aag

shama nazan hai faqat sar se bhaDak jaane mein aag

phunk de sara jahan haigi wo parwane mein aag

shoala-e-sham-e-haram husn-e-butan se hai KHajil

mujh ko KHatra hai ki lag jae na but-KHane mein aag

dekhna garmi ki KHubi meri bari jab aae

ja-e-mai saqi ne bhar di mere paimane mein aag

shaiKH ki sumran-shumari mein koi garmi nahin

chashm-e-bina ho to zahir hai har ek dane mein aag

aatishin nale wo majnun ke mujhe aate hain yaad

dekhta hun jo kahin dahke hai virane mein aag

be-dimaghi hai baja us ke fasane se meri

KHwab kya lawe wo pinhan ho jis afsane mein aag

kab hinsa tha main bhala jalne pe parwane ke 'lutf'

dafatan phunki meri jaegi jo kashane mein aag

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shama Nazan Hai Faqat Sar Se BhaDak Jaane Mein Aag In English By Famous Poet Mirza Ali Lutf. Shama Nazan Hai Faqat Sar Se BhaDak Jaane Mein Aag is written by Mirza Ali Lutf. Read famous Poem Shama Nazan Hai Faqat Sar Se BhaDak Jaane Mein Aag for youth and Student by Mirza Ali Lutf. Free Download Shama Nazan Hai Faqat Sar Se BhaDak Jaane Mein Aag in PDF.