Tum Ho Bazm-e-aish Hai Wan Aur Sohbat-dariyan

tum ho bazm-e-aish hai wan aur sohbat-dariyan

hum hain kunj-e-gham hai yan aur jaan se bezariyan

tum ko sair-e-bagh-o-gul-gasht-e-chaman ka wan hai shauq

yan badan par hain hujum-e-dagh se gul-kariyan

dhyan hai aaraish-e-zulf-e-pareshan ka tumhein

yaad hain haal-e-pareshan ki meri kuchh KHwariyan

tum safa-e-said-o-bazu dikhate ho wahan

hum pe yan mu-e-badan karte hain nashtar-dariyan

tum ne dikhlai wahan piTh aur choTi ki phaban

yan meri chhati pe hain kale ne lahren mariyan

nek-o-bad donon se yan hum ne to aankhen mund lin

tum wahan chitwan ki dikhlate ho jadu-kariyan

yan ba-rang-e-paikar-e-taswir hum KHamosh hain

guftugu ki tum dikhate ho wahan tarrariyan

qahqahe tum marte ho wan ba-awaz-e-buland

dushmanon se yan chhupa kar hum hain karte zariyan

har mariz-e-gham ki jaan-baKHshi ka hai wan tum ko dhyan

khinch gain yan tul-e-shiddat se meri bimariyan

iztirab-e-dil se be-parda hua yan raaz-e-ishq

sujhti hain wan tumhein har baat mein tahdariyan

kya kisi se baat kije bhulte ek dam nahin

un bhalaon se wo baaton mein teri ayyariyan

chhin kar baaton mein dil ko 'lutf' se wo but bane

yaad rakhna ghair ki karna wahan dil-dariyan

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Ho Bazm-e-aish Hai Wan Aur Sohbat-dariyan In English By Famous Poet Mirza Ali Lutf. Tum Ho Bazm-e-aish Hai Wan Aur Sohbat-dariyan is written by Mirza Ali Lutf. Read famous Poem Tum Ho Bazm-e-aish Hai Wan Aur Sohbat-dariyan for youth and Student by Mirza Ali Lutf. Free Download Tum Ho Bazm-e-aish Hai Wan Aur Sohbat-dariyan in PDF.