Ye Kaisi Aag Mujh Mein Jal Rahi Hai

ye kaisi aag mujh mein jal rahi hai

ye kaisi barf mujh mein gal rahi hai

koi tasbih mujh mein paDh raha hai

koi qindil mujh mein jal rahi hai

musafir ja chuka lambe safar par

abhi tak dhup aankhen mal rahi hai

sabhi bahon ko phailae khaDe hain

qayamat hai ki har-pal Tal rahi hai

izafi ho chuka hai matn sara

kahani hashiye se chal rahi hai

mujhe sab dafn kar ke ja chuke hain

magar ye sans ab tak chal rahi hai

bahut roegi ye laDki kisi din

jo mere sath hans kar chal rahi hai

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaisi Aag Mujh Mein Jal Rahi Hai In English By Famous Poet Mirza Athar Zia. Ye Kaisi Aag Mujh Mein Jal Rahi Hai is written by Mirza Athar Zia. Read famous Poem Ye Kaisi Aag Mujh Mein Jal Rahi Hai for youth and Student by Mirza Athar Zia. Free Download Ye Kaisi Aag Mujh Mein Jal Rahi Hai in PDF.