Kal Chashm-e-KHun-fishan Se Gulzar Pairahan Tha

kal chashm-e-KHun-fishan se gulzar pairahan tha

daman ka tha jo taKHta yak taKHta-e-chaman tha

kijo 'azim' ko bhi yarab ghariq-e-rahmat

aawara-e-junun sa ek sahab-suKHan tha

aur mani-band aisa hindi zaban ka 'saeb'

hindostan se le kar mashhur ta-dakan tha

ek din jo ghar se nikla KHatt-e-shua-asa

bikhra hua badan par har tar-e-pairahan tha

dekha jo dafan karte jun shama par ho fanus

turbat mein dur tan se baalisht-bhar kafan tha

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Chashm-e-KHun-fishan Se Gulzar Pairahan Tha In English By Famous Poet Mirza Azeem Beg 'Azeem'. Kal Chashm-e-KHun-fishan Se Gulzar Pairahan Tha is written by Mirza Azeem Beg 'Azeem'. Read famous Poem Kal Chashm-e-KHun-fishan Se Gulzar Pairahan Tha for youth and Student by Mirza Azeem Beg 'Azeem'. Free Download Kal Chashm-e-KHun-fishan Se Gulzar Pairahan Tha in PDF.