Dosti Mein Teri Bas Humne Bahut Dukh Jhele

dosti mein teri bas hum ne bahut dukh jhele

kaun nit uTh ke meri jaan ye papaD bele

choli maski hai khule band gareban ye phaTa

kaun si jae se ban aae miyan albele

mel tere ka koi hum ko sajila na mila

dekh Dale hain har ek shahr ke mele-Thele

zulm ki rahti hai mujh par jo ye le le de de

kaenat apni mere pas hai jo kuchh le le

nosh farmate ho baaton mein maze se aksar

dhendas aur kaduhi aur khire chachinde kele

dil bhara hai to kaho aur nahin to bismillah

aur man manti das lakh to gali de le

tere dhamkane se koi 'azfari' dhamke haiga

khel aise hain miyan hum ne bahut se khele

(606) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosti Mein Teri Bas Humne Bahut Dukh Jhele In English By Famous Poet Mirza Azfari. Dosti Mein Teri Bas Humne Bahut Dukh Jhele is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Dosti Mein Teri Bas Humne Bahut Dukh Jhele for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Dosti Mein Teri Bas Humne Bahut Dukh Jhele in PDF.