Ji Mein Kya Kya Meri Umaha Tha

ji mein kya kya meri umaha tha

par hua wo jo haq ka chaha tha

nibhi jab tak ki hum nibah sake

aap ne hum ko kab nibaha tha

luqqe do chaar sath jate the

kaisa kal raat hi-hi haha tha

chakki raha tha kya bala ye raqib

chakki sa munh to is ka raha tha

kuche tere mein raat ko jo gae

bhule hum wan jahan doraha tha

tum jhaTak gae kuchh in dinon pyare

Tok kis ne tumhein saraha tha

tum pe tha jab ki aalam-e-tajrid

un dinon main bhi bin-biyaha tha

jis gali bich ja nikalte the

tum par aur hum pe aaha aaha tha

aa ke tujh se jo tha mila laD kar

paya kya 'azfari' ne laha tha

(559) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Mein Kya Kya Meri Umaha Tha In English By Famous Poet Mirza Azfari. Ji Mein Kya Kya Meri Umaha Tha is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Ji Mein Kya Kya Meri Umaha Tha for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Ji Mein Kya Kya Meri Umaha Tha in PDF.