Aabru Kya KHak Us Gul Ki Ki Gulshan Mein Nahin

aabru kya KHak us gul ki ki gulshan mein nahin

hai gareban nang-e-pairahan jo daman mein nahin

zof se ai girya kuchh baqi mere tan mein nahin

rang ho kar uD gaya jo KHun ki daman mein nahin

ho gae hain jama ajza-e-nigah-e-aftab

zarre us ke ghar ki diwaron ke rauzan mein nahin

kya kahun tariki-e-zindan-e-gham andher hai

pamba nur-e-subh se kam jis ke rauzan mein nahin

raunaq-e-hasti hai ishq-e-KHana viran saz se

anjuman be-shama hai gar barq KHirman mein nahin

zaKHm silwane se mujh par chaara-jui ka hai tan

ghair samjha hai ki lazzat zaKHm-e-sozan mein nahin

bas-ki hain hum ek bahaar-e-naz ke mare hue

jalwa-e-gul ke siwa gard apne madfan mein nahin

qatra qatra ek hayula hai nae nasur ka

KHun bhi zauq-e-dard se farigh mere tan mein nahin

le gai saqi ki naKHwat qulzum-ashami meri

mauj-e-mai ki aaj rag mina ki gardan mein nahin

ho fishaar-e-zof mein kya na-tawani ki numud

qad ke jhukne ki bhi gunjaish mere tan mein nahin

thi watan mein shan kya 'ghaalib' ki ho ghurbat mein qadr

be-takalluf hun wo musht-e-KHas ki gulKHan mein nahin

(1604) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aabru Kya KHak Us Gul Ki Ki Gulshan Mein Nahin In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Aabru Kya KHak Us Gul Ki Ki Gulshan Mein Nahin is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Aabru Kya KHak Us Gul Ki Ki Gulshan Mein Nahin for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Aabru Kya KHak Us Gul Ki Ki Gulshan Mein Nahin in PDF.