Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Rah Gae

aaina dekh apna sa munh le ke rah gae

sahab ko dil na dene pe kitna ghurur tha

qasid ko apne hath se gardan na mariye

us ki KHata nahin hai ye mera qusur tha

zof-e-junun ko waqt-e-tapish dar bhi dur tha

ek ghar mein muKHtasar sa bayaban zarur tha

ai wae-ghaflat-e-nigah-e-shauq warna yan

har para sang laKHt-e-dil-e-koh-e-tur tha

dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke nam se

wo dil hai ye ki jis ka taKHallus subur tha

har rang mein jala 'asad'-e-fitna-intizar

parwana-e-tajalli-e-sham-e-zuhur tha

shayad ki mar gaya tere ruKHsar dekh kar

paimana raat mah ka labrez-e-nur tha

jannat hai teri tegh ke kushton ki muntazir

jauhar sawad-e-jalwa-e-mizhgan-e-hur tha

(1413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Rah Gae In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Rah Gae is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Rah Gae for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Rah Gae in PDF.