Aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab Hai

aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab hai

naqsh-e-pa jo kan mein rakhta hai ungli jada se

bazm-e-mai wahshat-kada hai kis ki chashm-e-mast ka

shishe mein nabz-e-pari pinhan hai mauj-e-baada se

dekhta hun wahshat-e-shauq-e-KHarosh-amada se

fal-e-ruswai sirishk-e-sar-ba-sahra-dada se

dam gar sabze mein pinhan kijiye taus ho

josh-e-nairang-e-bahaar arz-e-sahra-dada se

KHema-e-laila siyah o KHana-e-majnun KHarab

josh-e-virani hai ishq-e-dagh-e-bairun-dada se

bazm-e-hasti wo tamasha hai ki jis ko hum 'asad'

dekhte hain chashm-e-az-KHwab-e-adam-nakushada se

(997) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Aamad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab Hai in PDF.