Arz-e-niyaz-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha

arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha

jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahin raha

jata hun dagh-e-hasrat-e-hasti liye hue

hun sham-e-kushta dar-KHur-e-mahfil nahin raha

marne ki ai dil aur hi tadbir kar ki main

shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahin raha

bar-ru-e-shash-jahat dar-e-aina baz hai

yan imtiyaz-e-naqis-o-kaamil nahin raha

wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn

ghair-az-nigah ab koi hail nahin raha

go main raha rahin-e-sitam-ha-e-rozgar

lekin tere KHayal se ghafil nahin raha

dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gai ki wan

hasil siwae hasrat-e-hasil nahin raha

bedad-e-ishq se nahin Darta magar 'asad'

jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahin raha

har-chand main hun tuti-e-shirin-suKHan wale

aaina aah mere muqabil nahin raha

jaan-dad-gan ka hausla fursat-gudaz hai

yan arsa-e-tapidan-e-bismil nahin raha

hun qatra-zan ba-wadi-e-hasrat shabana roz

juz tar-e-ashk jada-e-manzil nahin raha

ai aah meri KHatir-e-wabasta ke siwa

duniya mein koi uqda-e-mushkil nahin raha

andaz-e-nala yaad hain sab mujh ko par 'asad'

jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahin raha

(3454) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arz-e-niyaz-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Arz-e-niyaz-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Arz-e-niyaz-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Arz-e-niyaz-e-ishq Ke Qabil Nahin Raha in PDF.