Ek Ja Harf-e-wafa Likha Tha So Bhi MiT Gaya

ek ja harf-e-wafa likkha tha so bhi miT gaya

zahiran kaghaz tere KHat ka ghalat-bar-dar hai

ji jale zauq-e-fana ki na-tamami par na kyun

hum nahin jalte nafas har chand aatish-bar hai

aag se pani mein bujhte waqt uThti hai sada

har koi darmandagi mein nale se na-chaar hai

hai wahi bad-masti-e-har zarra ka KHud uzr-KHwah

jis ke jalwe se zamin ta aasman sarshaar hai

mujh se mat kah tu hamein kahta tha apni zindagi

zindagi se bhi mera ji in dinon be-zar hai

aankh ki taswir sar-name pe khinchi hai ki ta

tujh pe khul jawe ki is ko hasrat-e-didar hai

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ja Harf-e-wafa Likha Tha So Bhi MiT Gaya In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Ek Ja Harf-e-wafa Likha Tha So Bhi MiT Gaya is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Ek Ja Harf-e-wafa Likha Tha So Bhi MiT Gaya for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Ek Ja Harf-e-wafa Likha Tha So Bhi MiT Gaya in PDF.