Gham Nahin Hota Hai Aazadon Ko Besh Az-yak-nafas

gham nahin hota hai aazadon ko besh az-yak-nafas

barq se karte hain raushan sham-e-matam-KHana hum

mahfilen barham kare hai ganjifa-baz-e-KHayal

hain waraq-gardani-e-nairang-e-yak-but-KHana hum

bawajud-e-yak-jahan hangama paidai nahin

hain charaghan-e-shabistan-e-dil-e-parwana hum

zoaf se hai ne qanaat se ye tark-e-justuju

hain wabaal-e-takiya-gah-e-himmat-e-mardana hum

daim-ul-habs us mein hain lakhon tamannaen 'asad'

jaante hain sina-e-pur-KHun ko zindan-KHana hum

bas-ki hain bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-KHana hum

mu-e-shisha ko samajhte hain KHat-e-paimana hum

bas-ki har-yak-mu-e-zulf-afshan se hai tar-e-shua

panja-e-KHurshid ko samjhe hain dast-e-shana hum

mashq-e-az-KHud-raftagi se hain ba-gulzar-e-KHayal

aashna tabir-e-KHwab-e-sabza-e-begana hum

fart-e-be-KHwabi se hain shab-ha-e-hijr-e-yar mein

jun zaban-e-shama dagh-e-garmi-e-afsana hum

sham-e-gham mein soz-e-ishq-e-atish-e-ruKHsar se

par-fashan-e-soKHtan hain surat-e-parwana hum

hasrat-e-arz-e-tamanna yan se samjha chahiye

do-jahan hashr-e-zaban-e-KHushk hain jun shana hum

kashti-e-alam ba-tufan-e-taghaful de ki hain

aalam-e-ab-e-gudaz-e-jauhar-e-afsana hum

wahshat-e-be-rabti-e-pech-o-KHam-e-hasti na puchh

nang-e-baalidan hain jun mu-e-sar-e-diwana hum

(1679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Nahin Hota Hai Aazadon Ko Besh Az-yak-nafas In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Gham Nahin Hota Hai Aazadon Ko Besh Az-yak-nafas is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Gham Nahin Hota Hai Aazadon Ko Besh Az-yak-nafas for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Gham Nahin Hota Hai Aazadon Ko Besh Az-yak-nafas in PDF.