Hui TaKHir To Kuchh Bais-e-taKHir Bhi Tha

hui taKHir to kuchh bais-e-taKHir bhi tha

aap aate the magar koi inan-gir bhi tha

tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila

us mein kuchh shaiba-e-KHubi-e-taqdir bhi tha

tu mujhe bhul gaya ho to pata batla dun

kabhi fitrak mein tere koi naKHchir bhi tha

qaid mein hai tere wahshi ko wahi zulf ki yaad

han kuchh ek ranj-e-giran-bari-e-zanjir bhi tha

bijli ek kaund gai aankhon ke aage to kya

baat karte ki main lab-tishna-e-taqrir bhi tha

yusuf us ko kahun aur kuchh na kahe KHair hui

gar bigaD baiThe to main laiq-e-tazir bhi tha

dekh kar ghair ko ho kyun na kaleja ThanDa

nala karta tha wale talib-e-tasir bhi tha

peshe mein aib nahin rakhiye na farhad ko nam

hum hi aashufta-saron mein wo jawan-mir bhi tha

hum the marne ko khaDe pas na aaya na sahi

aaKHir us shoKH ke tarkash mein koi tir bhi tha

pakDe jate hain farishton ke likhe par na-haq

aadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha

reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'

kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha

(3120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hui TaKHir To Kuchh Bais-e-taKHir Bhi Tha In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hui TaKHir To Kuchh Bais-e-taKHir Bhi Tha is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hui TaKHir To Kuchh Bais-e-taKHir Bhi Tha for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hui TaKHir To Kuchh Bais-e-taKHir Bhi Tha in PDF.