Hujum-e-nala Hairat Aajiz-e-arz-e-yak-afghan Hai

hujum-e-nala hairat aajiz-e-arz yak-afghan hai

KHamoshi resha-e-sad-nistan se KHas-ba-dandan hai

takalluf-bar-taraf hai jaan-sitan-tar lutf-e-bad-KHuyan

nigah-e-be-hijab-e-naz tegh-e-tez-e-uryan hai

hui ye kasrat-e-gham se talaf kaifiyat-e-shadi

ki subh-e-id mujh ko bad-tar az-chaak-e-gareban hai

dil o din naqd la saqi se gar sauda kiya chahe

ki us bazar mein saghar mata-e-dast-gardan hai

gham aaghosh-e-bala mein parwarish deta hai aashiq ko

charagh-e-raushan apna qulzum-e-sarsar ka marjaan hai

takalluf saz-e-ruswai hai ghafil sharm-e-ranai

dil-e-KHun-gashta dar dast-e-hina-aluda uryan hai

'asad' jamiyat-e-dil dar-kinar-e-be-KHudi KHush-tar

do-alam aagahi saman-e-yak-KHwab-e-pareshan hai

(1190) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hujum-e-nala Hairat Aajiz-e-arz-e-yak-afghan Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hujum-e-nala Hairat Aajiz-e-arz-e-yak-afghan Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hujum-e-nala Hairat Aajiz-e-arz-e-yak-afghan Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hujum-e-nala Hairat Aajiz-e-arz-e-yak-afghan Hai in PDF.