Humse Khul Jao Ba-waqt-e-mai-parasti Ek Din

hum se khul jao ba-waqt-e-mai-parasti ek din

warna hum chheDenge rakh kar uzr-e-masti ek din

gharra-e-auj-e-bina-e-alam-e-imkan na ho

is bulandi ke nasibon mein hai pasti ek din

qarz ki pite the mai lekin samajhte the ki han

rang lawegi hamari faqa-masti ek din

naghma-ha-e-gham ko bhi ai dil ghanimat jaaniye

be-sada ho jaega ye saz-e-hasti ek din

dhaul-dhappa us sarapa-naz ka shewa nahin

hum hi kar baiThe the 'ghaalib' pesh-dasti ek din

(2993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse Khul Jao Ba-waqt-e-mai-parasti Ek Din In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Humse Khul Jao Ba-waqt-e-mai-parasti Ek Din is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Humse Khul Jao Ba-waqt-e-mai-parasti Ek Din for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Humse Khul Jao Ba-waqt-e-mai-parasti Ek Din in PDF.