Husn Ghamze Ki Kashakash Se ChhuTa Mere Baad

husn ghamze ki kashakash se chhuTa mere baad

bare aaram se hain ahl-e-jafa mere baad

mansab-e-sheftagi ke koi qabil na raha

hui mazuli-e-andaz-o-ada mere baad

shama bujhti hai to us mein se dhuan uThta hai

shoala-e-ishq siyah-posh hua mere baad

KHun hai dil KHak mein ahwal-e-butan par yani

un ke naKHun hue mohataj-e-hina mere baad

dar-KHur-e-arz nahin jauhar-e-bedad ko ja

nigah-e-naz hai surme se KHafa mere baad

hai junun ahl-e-junun ke liye aaghosh-e-widaa

chaak hota hai gareban se juda mere baad

kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq

hai mukarrar lab-e-saqi pe sala mere baad

gham se marta hun ki itna nahin duniya mein koi

ki kare taziyat-e-mehr-o-wafa mere baad

aae hai bekasi-e-ishq pe rona 'ghaalib'

kis ke ghar jaega sailab-e-bala mere baad

thi nigah meri nihan-KHana-e-dil ki naqqab

be-KHatar jite hain arbab-e-riya mere baad

tha main guldasta-e-ahbab ki bandish ki giyah

mutafarriq hue mere rufaqa mere baad

(1945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ghamze Ki Kashakash Se ChhuTa Mere Baad In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Husn Ghamze Ki Kashakash Se ChhuTa Mere Baad is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Husn Ghamze Ki Kashakash Se ChhuTa Mere Baad for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Husn Ghamze Ki Kashakash Se ChhuTa Mere Baad in PDF.