Husn-e-mah Garche Ba-hangam-e-kamal Achchha Hai

husn-e-mah garche ba-hangam-e-kamal achchha hai

us se mera mah-e-KHurshid-jamal achchha hai

bosa dete nahin aur dil pe hai har lahza nigah

ji mein kahte hain ki muft aae to mal achchha hai

aur bazar se le aae agar TuT gaya

saghar-e-jam se mera jam-e-sifal achchha hai

be-talab den to maza us mein siwa milta hai

wo gada jis ko na ho KHu-e-sawal achchha hai

un ke dekhe se jo aa jati hai munh par raunaq

wo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai

dekhiye pate hain ushshaq buton se kya faiz

ek barhaman ne kaha hai ki ye sal achchha hai

ham-suKHan tesha ne farhad ko shirin se kiya

jis tarah ka ki kisi mein ho kamal achchha hai

qatra dariya mein jo mil jae to dariya ho jae

kaam achchha hai wo jis ka ki maal achchha hai

KHizr-sultan ko rakhe KHaliq-e-akbar sarsabz

shah ke bagh mein ye taza nihaal achchha hai

hum ko malum hai jannat ki haqiqat lekin

dil ke KHush rakhne ko 'ghaalib' ye KHayal achchha hai

(2731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-mah Garche Ba-hangam-e-kamal Achchha Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Husn-e-mah Garche Ba-hangam-e-kamal Achchha Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Husn-e-mah Garche Ba-hangam-e-kamal Achchha Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Husn-e-mah Garche Ba-hangam-e-kamal Achchha Hai in PDF.